|
Parampita Ki Hum Stuti Gayen |
|
Parampita Ki Hum Stuti Gayen |
Woh Hi Hai Jo Bachata Hamein |
Saare Papo'n Ko Karta Kshama |
Saare Rogo'n Ko Karta Changa |
|
Dhanyawad Dein Uske Aasano'n Mei |
Aanand Se Aayen Uske Charno Mei |
Sangeet Gaakar Khushi Se |
Mukti Ki Chattan Ko Jai Lalkarein |
|
Woh Hi Hamara Hei Param Pita |
Taras Khata Hei Sarva Sada |
Poorab Se Pashchim Hei Jitni Door |
Utni Hi Door Kiye Hamare Gunah |
|
Maa Ki Tarah Usne Di Tasalli |
Duniya Ke Khataro'n Mei Chhora Nahi |
Khalis Doodh Hei Kalaam Ka Diya |
Aur Dee Hamesha Ki Zindagi |
|
Charwahe Ki Manind Dhoondha Usne |
Paapo'n Kee Keech Se Nikala Hamein |
Humko Bachaane Ko Jaan Apni Dee |
Taaki Haath Mei Hum Uske Rahein |
|
Ghonsle Ko Barbar Torkar Usne |
Chaha Ki Seekheinhum Udana Usse |
Paro'n Par Uthaya Ukaab Ki Tarah |
Taaki Humko Chot Na Lagein |
|
|